Wednesday, May 20, 2015

kuch baaten Bombay Velvet ki

Finally BV dekh Li aaj bhai film mujhe toh Thik lagi media ko kyu achchi nahi lagi iske bahut se kaaran ho sakte hai usme sabse badaa kaaran ego ho sakti Hai, ab itni buri bhi na hai ki film ko buried hi Kar do,Han film ydi 35/40 mein bani hotI toh achcha hota, AK ne jyada dhayn set mein de diya jab ki uski jarurat hi nahi thi, fun cinema naya banne ke baad pahli film waha dekhI hum 5 the sabko Thik lagi ab aisa toh nahi sakta ki 5 ko koi kharaab film achchi lagne lage,Kal tak Maine sunisunaai baato par apne views diye wo shabd wapas leta hun,tkt sastaa ho 80/100 ka toh ek baar dekhne mein Koi buraai nahi hai, ek baat akhri ki itne logo ko maane aur apne dost ke marne ke baad bhi hero ko hero rehna chahiye tha,main kk ka role badaa kar us se johnny ko Bachaa leta heroine ko bhi, fun naya toh bnaa par food counter par manpower ko badaana chahiye popcorn le nahi paate film shuru ho jaati hai, Monday ko 11.40am ke show mein 100 logo ka hona film ko behtar kar saktaa tha lekin media ne film ko itnaa kharaab kar diya Hai ki film ki bhains toh gai paani mein, Anurag Kashyap toh yeh baat maan bhi chuke hai, ek baat samajh nahi aayi ki Anushka ne apne lips ka kabaada kyu karaaya,jaao jaakar film dekho ek baar 80/100 Karor ki film ke liye 100 rs toh kharch karnaa toh banta hai, yehi dekhne chale jaao ki aakhirkaar itne paise lage kahaa, villain KJ ka ek dialogue bdaa mast hai ki jhonny rozi mein aise kya Baat thi jo mujh mein nahi hai,toh dekho guruwar tak 5 baje se pahle ke show ki kimat Kam hotI hai aise filmo ko in shows mein nibtaa lena chahiye.

No comments: